LATAnjali - 123

kisii ne mujhako mere ghar me.n aake luuT liyaa
(Parchhaain, 1952)

Posted by: Srinivas Ganti
Contributed by: Srinivas Ganti

January 09, 2001

Parchhai is probably among CR's all time best soundtracks on par with Anarkali and Yasmin.The songs already in ISB are

apanii kaho kuchh merii suno, kyaa dil kaa lagaanaa bhuul gae
kaTate hai.n dukh me.n ye din, pahaluu badal badal ke
muhabbat hii na jo samajhe, vo zaalim pyaar kyaa jaane
dil dil se kah rahaa hai.


%
\startsong
\stitle{kisii ne mujhako mere ghar me.n aake}%
\film{Parchhaain}%
\year{1952}%
\starring{V Shantaram,Jayashree}%
\singer{Lata, Talat}%
\music{C Ramchandra}%
\lyrics{Noor Lucknowi}%
%
% Contributor: Srinivas Ganti
% Transliterator: Hrishi Dixit
% Date: Jan 09 2001
% Comments: LATAnjali
%
\printtitle
#indian
%

ta:
lagaake haatho.n me.n mehe.ndii halaal kar Daalaa
banaake mast mujhe paa\-e\-maal kar Daalaa

la:
kisii ne mujhako mere ghar me.n aake luuT liyaa  \-2
luuT liyaa luuT liyaa luuT liyaa
ta:
kisii Gariib ko ghar me.n bulaake luuT liyaa  \-2

la:
koii ummiid na hasrat na kuchh tamannaa thii
a.ndheraa chhaayaa thaa sunasaan dil kii duniyaa thii
chiraag prem kaa tumane ne jalaake luuT liyaa  \-2
la,ta:
luuT liyaa luuT liyaa luuT liyaa

la:
kisii ne mujhako mere ghar me.n aake luuT liyaa

ta:
havaas\-o\-hosh na rahate ye maajaraa hotaa
jo shakl dekh hii lete na jaane kyaa hotaa
sadaa huzuur ne apanii sunaake luuT liyaa
la,ta:
luuT liyaa luuT liyaa luuT liyaa
ta:
kisii Gariib ko ghar me.n bulaake luuT liyaa

la:
ho zamaane bhar se mai.n kah duu.ngii tumane chorii kii
aur aisii chorii ke chorii bhii siinaa\-zorii kii
ke sone vaale ko tuune jagaake luuT liyaa
la,ta:
luuT liyaa luuT liyaa luuT liyaa
la:
kisii ne mujhako mere ghar me.n aake luuT liyaa  \-2

%
#endindian
\endsong