LATAnjali - 144

e rii mai.n to prem diivaanii
(Naubahaar, 1952)

Posted by: Srinivas Ganti
Contributed by: Srinivas Ganti

March 11 2001

Geeta's song in Jogan has different lyrics.



%
\startsong
\stitle{e rii mai.n to prem diivaanii}%
\film{Naubahaar}%
\year{1952}%
\starring{Ashok Kumar,Nalini Jayawant}%
\singer{Lata}%
\music{Roshan}%
\lyrics{Satyendra Athaiya}%
%
% Contributor: Srinivas Ganti
% Transliterator: Srinivas Ganti
% Date: 11 Mar 2001
% Credits: Satish Kalra, for missing antaraas
% Comments:
%
\printtitle
#indian
%
( e rii mai.n to prem diivaanii
  meraa dard na jaane ko_e ) \-2

na mai.n jaanuu.N aaratii va.ndan
na puujaa kii riit
hai a.njaanii daras diivaanii
merii paagal priit
liye re mai.ne do naino.n ke
diipak liye sa.njo_e
e rii mai.n to \threedots

aashaa ke phuulo.n kii maalaa
saa.Nso.n ke sa.ngiit
in par phuulii chalii rijhaane
apane man kaa miit
liye rii maine nain Dor me.n
sapane liye piro_e
e rii mai.n to \threedots

din Duubaa taare murajhaaye 
sisak sisak gayii rain
baiThii suunaa pa.nth nihaaruu.N 
jhar jhar barasat nain
duniyaa  ke sab sapane jaage 
bhaag hamaaraa so_e
o bedardi, jiivan baatii 
pal pal vyaakul ho_e
e rii mai.n to \threedots

maa.ng si.nduur lapaT ban jaage 
laagii agan chahuu.N or
ruuTh gayii haatho.n kii meha.ndii 
TuuTi man kii Dor
mere manamohan aayo naa sakhii rii 
ro ro nainaa kho_e
ghaayal kii gatii ghaayal jaane 
te jin laagii ho_e
e rii mai.n to \threedots

%
#endindian
\endsong
%