LATAnjali - 170

do bichha.De hue dil
(Shaayar, 1949)

Posted by:  Srinivas Ganti
Contributed by: Srinivas Ganti

16 May,2001


%
\startsong
\stitle{do bichha.De hue dil}%
\film{Shayar}%
\year{1949}%
\starring{Dev Anand,Suraiyya}%
\singer{Lata,GM Durrani}%
\music{Ghulam Mohammed}%
\lyrics{Shakeel Badayuni}%
%
% Contributor: Srinivas Ganti
% Transliterator:Srinivas Ganti
% Date:16 May,2001
% Comments:LATAnjali
%
\printtitle
#indian
%
gmd:do bichha.De hue
(do bichha.De hue dil,aapas me.n gaye mil)\-2
armaano.n kii nagarii me.n huaa aaj saveraa
do bichha.De hue
lata:(lo tumase mile ham,sab dil ke miTe Gam)\-2
khush hoke muhabbat ne kiyaa dil me.n baseraa
lo tumse mile

gmd:(kam ho naa gha.Dii bhar ke liye,gha.Dii bhar ke liye
apanii muhabbat,apanii muhabbat)\-2
lata:tum aaye jo
(tum aaye jo aa.Nkho.n me.n to chamakii merii qismat)\-2
gmd:qismat ke chamakte hii duur hua andheraa
do bichha.De hue \three dots

lata:(ham pyaar kii manzil se kabhii,manzil se kabhii
duur na ho.nge,duur na ho.nge)\-2
gmd:armaa.n bhare
(armaa.n bhare dil,kabhii majabuur na ho.nge)\-2
lata:aabaad rahe apanii tamannao.n kaa Deraa
both:aabaad rahe apanii tamannao.n kaa Deraa
do bichha.De hue \three dots

%
#endindian
\endsong
%