LATAnjali - 196

kahaa.N chho.D ke chalaa hai tuu
(Anjaan, 1956)

Posted by:  Srinivas Ganti
Contributed by: Srinivas Ganti

Jan. 21, 2002

Moving onto another Hemant Kumar soundtrack with Lata gems sprinkled all over. Just like the title of the movie, many of the songs are anjaana :)

HMV did release this soundtrack along with Anandmath butI think the only well known song is Hemant's "chandaniyaa nadiyaa biich nahaaye".(based upon my listening years in India).


%
\startsong
\stitle{kahaa.N chho.D ke chalaa hai tuu}%
\film{Anjaan}%
\year{1956}%
\starring{Vyjayantimala, Pradeep Kumar}%
\singer{Lata}%
\music{Hemant Kumar}%
\lyrics{Rajinder Krishan}%
%
%Contributor:Srinivas Ganti
%Transliterator:Srinivas Ganti
%Credits:
%Editor:
%Date:January 15, 2002
%Comments:LATAnjali series
\printtitle
#indian
(kahaa.N chho.D ke chalaa hai tuu
ye phuulo.n bharii raahe.n
mere desh kii havaaye.n paradesiyaa)\-2
zaraa mu.D ke to dekh, khoii khoii ye nigaahe.n merii
thaNDii thaNDii aahe.n paradesiyaa
haaye kahaa.N chho.D ke chalaa hai

(sai.nyaa.N maan naa maan meraa dil anajaan
bhuulaa duniyaa kaa pyaar tere pyaar me.n)\-2
mai.n ne chhup chhup haaye din raat banaaye
miiThe sapano.n ke haar tere pyaar me.n
zaraa mu.D ke to dekh, khoii khoii nigaahe.n merii
suunii suunii baahe.n paradesiyaa
haaye kahaa.N chho.D ke chalaa hai \threedots

(tuu jo lauT ke aaye mujhe mukha.Daa dikhaaye
to mai.n akhiyaa.N bichaauu.N terii raah me.n)\-2
bas ek baar merii sun jaa pukaar
mai.n to jal jal jaauu.N terii chaah me.n
zaraa mu.D ke to dekh, khoii khoii ye nigaahe.n
haaye ro bhii naa paaye paradesiyaa
haaye kahaa.N chho.D ke chalaa hai \threedots

%
#endindian
\endsong