LATAnjali - 199

aa ke ab aataa nahii.n dil ko qaraar
(Mehbooba, 1954)

Posted by:  Srinivas Ganti
Contributed by: Srinivas Ganti

Jan. 31, 2002


\startsong
\stitle{aa ke ab aataa nahii.n dil ko qaraar}%
\film{Mehbooba}%
\year{1954}%
\starring{Nalini Jayawant, Shammi Kapoor}%
\singer{Lata}%
\music{Roshan}%
\lyrics{Tanvir Naqvi ?}%
%
%Contributor:Srinivas Ganti
%Transliterator:Srinivas Ganti
%Credits:Arunabha Roy
%Editor:
%Date:January 30, 2002
%Comments:LATAnjali series
\printtitle
#indian

(aa ke ab aataa nahii.n dil ko qaraar)\-2
raah takate thak gayaa hai intazaar
aa ke ab aataa nahii.n dil ko qaraar

is qadar bechai.n hai duniyaa merii
dil kii har Dha.Dakan me.n hai aahat terii
aarazuu_ye.n ho rahii hai.n beqaraar
aa ke ab aataa nahii.n dil ko qaraar

(dil sadaaye.n de rahaa hai tuu kahaa.N)\-2
mu.ntazir hai.n chaa.nd taare aasamaa.N
ye havaaye.n ye fazaaye.n ye bahaar
aa ke ab aataa nahii.n dil ko qaraar

aas tere vo hasii.n raate.n ga_ii
pyaar kii rangiin mulaaqaate.n ga_ii
rah gayaa hai dard dil kii yaadagaar
aa ke ab aataa nahii.n dil ko qaraar
%
#endindian
\endsong