LATAnjali - 293

jaate ho to jaao ham bhii yahaa.N vaado.n ke sahaare jii le.nge
(Khel, 1950)

Posted by:  Nimish Pachapurkar
Contributed by: Nimish Pachapurkar

11 Apr, 2003

As much as "bhuul jaa ai dil" from Khel is praised in every article that talks about Sajjad, for me, the wonder-song of the Khel has always been "jaate ho jaao". A totally non-trivial tune conjured by the brain of this great composer seems deceptively simple when Lata renders it immaculately. Orchestration is unique, it picks up superbly where Lata leaves off after "mar mar ke sahii"...A masterpiece by Sajjad.


% ITRANS Song #
%
\startsong
\stitle{jaate ho to jaao ham bhii yahaa.N vaado.n ke sahaare jii le.nge}%
\film{Khel}%
\year{1950}%
\starring{Dev Anand, Nigaar, Hafiz Janan, Anwar}%
\singer{Lata}%
\music{Sajjad Hussain}%
\lyrics{Sagar Nizami}%
%
% Audio on:
% Contributor: Nimish Pachapurkar <nimishp @hotmail.com>
% Transliterator: Nimish Pachapurkar
% Credits: Virendra Rawat
% Date: 11 Apr 2003
% Series: LATAnjali
% Comments:
% generated using giitaayan
%
\printtitle
#indian
%
jaate ho to jaao ham bhii yahaa.N vaado.n ke sahaare jii le.nge
Kud de ke kisii ko dil apanaa kuchh khel nahii.n jiinaa lekin
ghuT ghuT ke sahii mar mar ke sahii
ghuT ghuT ke sahii mar mar ke sahii jaise bhii banegaa jii le.nge

rusavaa na kare.nge ham tum ko siine se lagaa le.nge Gam ko
ho .a .a
uma.De jo kabhii dil se aa.Nsuu ham dil hii dil me.n pii le.nge
jaate ho to jaao ham bhii yahaa.N vaado.n ke sahaare jii le.nge

siine se lagaa kar yaado.n ko Kaamosh rahe.nge raato.n ko
shikave jo zabaa.N par aaye kabhii ho.nTho.n se zabaa.N ko sii le.nge
jaate ho to jaao ham bhii yahaa.N vaado.n ke sahaare jii le.nge

%
#endindian
\endsong