LATAnjali - 59: ai chaa.Nd pyaar meraa ...

Posted by: Hrishi Dixit
Contributed by: Hrishi Dixit

01/05/2000


Another mellow one from Khazana. This one featured on a Lata-CR compilation released a while ago by HMV ("Great Maestro Great Melodies: Lata Mangeshkar, C Ramchandra). Lata's voice modulation in this tune is phenomenal.

Couple of lines I'm not sure of in this... just one, actually, in the second antaraa: 'puuraa kabhii na honaa' ?? Anyone?


 % ITRANS Song # 
 % 
 \startsong 
 \stitle{ai chaa.Nd pyaar meraa tujhase ye kah rahaa hai}% 
 \film{khazana}% 
 \starring{madhubala}% 
 \singer{lata mangeshkar}% 
 \music{chitalkar ramchandra}% 
 \lyrics{rajinder krishan}% 
 % 
 % Contributor: Hrishi Dixit
 % Transliterator:  Hrishi Dixit
 % Date: January 5, 2000
 % Credits: 
 % Editor: 
 % Comments: LATAnjali series 
 % 
 \printtitle 
 #indian 
 % 

 ai chaa.Nd pyaar meraa tujhase ye kah rahaa hai
 ai chaa.Nd pyaar meraa tujhase ye kah rahaa hai
 tuu bevafaa na honaa
 tuu bevafaa na honaa, duniyaa to bevafaa hai
 ai chaa.Nd pyaar meraa tujhase ye kah rahaa hai
 ai chaa.Nd \threedots

 nikharegii chaudhavii.N ko jis dam terii javaanii
 miT jaayegii jahaa.N se us din merii kahaanii
 sab aasare to chhuuTe
 sab aasare to chhuuTe, ek teraa aasaraa hai
 ai chaa.Nd pyaar meraa tujhase ye kah rahaa hai
 ai chaa.Nd \threedots

 kii hai agar muhabbat tuune kabhii kisii se
 o aasamaa.N ke pyaare phir arz hai tujhii se
 puuraa kabhii na honaa (?)
 puuraa kabhii na honaa (?) ye merii iltejaa hai 
 ai chaa.Nd pyaar meraa tujhase ye kah rahaa hai
 ai chaa.Nd \threedots

 % 
 #endindian 
 \endsong