.
%
\startsong
\stitle{na ro ai dil}%
\film{Udan Khatola}%
\year{1955}%
\starring{Dilip Kumar,Nimmi}%
\singer{Lata}%
\music{Naushad}%
\lyrics{Shakeel}%
%
% Contributor: Srinivas Ganti
% Transliterator:Srinivas Ganti
% Date:7 April,2001
% Credits:
% Comments:LATAnjali
%
\printtitle
#indian
%
na ro ai dil kahii.n rone se taqadiire.n badalatii hai \-2
kahii.n aa.Nsuu bahaane se tamannae.n nikalatii hai
na ro ai dil \-2
natiijaa mil gayaa hamako kisii se dil lagaane kaa \-2
sitam dekhaa nasiibo.n kaa karam dekhaa zamaane kaa \-2
muhabbat aah bharatii hai, vafaae.n haath malatii hai
na ro ai dil \threedots
liye jaate the ai dil ham terii naiyyaa kinaare par \-2
muhabbat ke bharose par, ummiido.n ke sahaare par \-2
khabar kyaa thii ke zaalim aa.Ndhiyaa.N bhii saath chalatii hai
na ro ai dil \threedots
%
#endindian
\endsong
%
|