LATAnjali - 186

allaah bhii hai mallaah bhii hai
(Maan, 1954)

Posted by:  Neha Desai
Contributed by: Neha Desai

Sep 20, 2001

An excellent song by the singer(Lata) and the composer(Anil Biswas).I feel that this song should rank high in their top lists. Infact, with the other MAAN song, this one also ranks in Anil Biswas's selection of Lata's top 10 songs(he chose top 10 from his compositions).


Singer: Lata Mangeshkar
Composer: Anil Biswas
Lyrics:Kaif Bhopali
Film: Maan

allaah bhii hai mallaah bhii hai
allaah bhii hai mallaah bhii hai
kashtii hai kii Duubii jaatii hai
allaah bhii hai mallaah bhii hai

ham Duub to jaae.nge lekin
dono.n hii pe tohamat aatii hai
allaah bhii hai mallaah bhii hai

ik shamaa ghirii hai aa.Ndhii me.n
bujhatii bhii nahii jalatii bhii nahii
shamashiir\-e\-mohabbat kyaa kahiye
rukatii bhii nahii chalatii bhii nahii
majabuur mohabbat reh reh kar
har saa.Ns Thokar khaatii hai
allaah bhii hai mallaah bhii hai

ek khwaab nazar saa aayaa thaa
kuchh dekh liyaa kuchh TuuT gayaa
ek tiir jigar par khaayaa thaa
kuchh Duub gayaa kuchh TuuT gayaa
kuchh Duub gayaa kuchh TuuT gayaa
kyaa maut kii aamad aamad hai
kyaa maut kii aamad aamad hai
kyu.n nii.nd sii aayii jaatii hai
allaah bhii hai mallaah bhii hai