LATAnjali - 244

kaise aauu.n jamunaa ke tiir
(Devta, 1956)

Posted by:  Devendra Sharma
Contributed by: Devendra Sharma

Dec 6, 2002


%
\startsong
\stitle{kaise aauu.n jamunaa ke tiir}%
\film{Devta}%
\year{1956}%
\starring{}%
\singer{Lata Mangeshkar}%
\music{C. Ramachandra}%
\lyrics{Rajindar Krishan}%
%
% Contributor: Devendra Sharma
% Transliterator:
% Comments: LATAnjali
% Date: 6 December, 2002
% Editor:
%
\printtitle
#indian
%
kaise aauu.n jamunaa ke tiir
paa.Nv pa.Dii za.njiir shaamaa
paa.Nv pa.Dii za.njiir ho
kaise aauu.n jamunaa ke tiir

kaahe lagaayaa bairii akhiyo.n me.n kajaraa
akhiyo.n me.n kajaraa kalaiyaa me.n gajaraa
rah ga{}ii haar si.ngaar kiye mai.n
kaun ba.ndhaa{}e dhiir
kaise aauu.n jamunaa ke tiir

shaam milan ko jiyaa moraa tarase
kaah karuu.n kaise nikaluu.n mai.n ghar se
priit bhare man kii ye duniyaa
haaye na jaane piir
kaise aauu.n jamunaa ke tiir
%
#endindian
\endsong