LATAnjali - 280

ka_ii aise bhii aa.Nsuu hai.n
(Gul Sanobar, 1953)

Posted by:  Srinivas Ganti
Contributed by: Srinivas Ganti

Feb 19, 2003

For the past couple of days I have continuously been listening to this song from Gul Sanobar. I just can't get it out of my mind.According to Khayyam he composed the song.The record says that the composer is Bulo C.Rani.Khayyam composed 2 songs for the movie under the name Sharma.

Gul Sanobar has another Lata Masterpiece composed by Bulo C. Rani, "ise naa aur luuTiye, ye dil ba.Daa gariib hai".


%
\startsong
\stitle{ka_ii aise bhii aa.Nsuu hai.n}%
\film{Gul Sanobar}%
\year{1953}%
\starring{Shyama, Shammi Kapoor}%
\singer{Lata}%
\music{Khayyam}%
\lyrics{Kaif Irfani}%
%
% Contributor: Srinivas Ganti
% Transliterator:Srinivas Ganti
% Comments:
% Date: 19 Feb, 2003
%
\printtitle
#indian
%
(ka_ii aise bhii aa.Nsuu hai.n jo aa.Nkho.n me.n nahii.n aate)\-2
bahut se raaz aise hai.n jo samajhaaye nahii.n jaate
ka_ii aise bhii aa.Nsuu hai.n jo aa.Nkho.n me.n nahii.n aate

(ka_ii dil TuuT jaate hai.n, sadaa ? tak bhii nahii.n aatii)\-2
hazaaro.n dard aise hai.n kasak jinakii nahii.n jaatii
kasak jinakii nahii.n jaatii
bahut se zakm aise hai.n jo dikhalaaye nahii.n jaate
bahut se raaz aise hai.n jo samajhaaye nahii.n jaate
ka_ii aise bhii aa.Nsuu hai.n jo aa.Nkho.n me.n nahii.n aate

(ka_ii mahafil ho duniyaa kii, vahii hai dil kii tanahaaii)\-2
(na jaane aaj kyaa aayaa, hamaarii aa.Nkh bhar aaii)\-2
ye kaise giit hai.n ai dil, jo gaaye bhii nahii.n jaate
bahut see raaz aise hai.n, jo samajhaaye nahii.n jaate
ka_ii aise bhii aa.Nsuu hai.n jo aa.Nkho.n me.n nahii.n aate
%
#endindian
\endsong
%