Lovely song describing
a mother's dreams of what will happen at different stages of her son's
life. .
% ITRANS Song #
%
\startsong
\stitle{aa.Nkho.n kaa taaraa praano.n se pyaaraa}%
\film{aansuu (1953)}%
\starring{}%
\singer{lata mangeshkar}%
\music{husnlal bhagatram}%
\lyrics{qamar jalalabadi}%
%
% Contributor: Neha Desai
% Transliterator: Hrishi Dixit
% Date: Jan 21, 2000
% Credits:
% Editor:
% Comments: LATAnjali series
%
\printtitle
#indian
%
aa.Nkho.n kaa taaraa praano.n se pyaaraa
jug jug jiye meraa laal re
merii umariyaa mil jaaye tujhako
jiitaa rahe sau saal re
aa.Nkho.n kaa taaraa praano.n se pyaaraa
pahale baras meraa nanhaa sa raajaa
kuu.n kuu.n muu.n muu.n bole
duuje baras bole roTii ko loTii
maiyyaa kaa dil Dole re
maa.nge khilaune gaaDii ghoDe
jabake lage tiija saal re
aa.Nkho.n kaa taaraa praano.n se pyaaraa
chauthe baras khele gillii da.nDaa
paise maa se maa.nge re
naTakhaT raajaa maa ko sataa_e
maa piichhe vo aage re
ho~~o~~o~o
paaThashaala baabuu banakar
jaa_e meraa laal re
aa.Nkho.n kaa taaraa praano.n se pyaaraa
khushiyo.n kii kirane.n phailaa_e jag me.n
puunam ka cha.ndaa hamaaraa re
bole baabul laa de dulhaniyaa
beTaa javaahar hamaaraa re
o merii maiyyaa laal doshaalaa
beTaa chalaa sasuraal re
aa.Nkho.n kaa taaraa praano.n se pyaaraa
%
#endindian
\endsong
|