LATAnjali - 73

ye afasaanaa nahii.n hai
(Mehndi)

Posted by:  Neha Desai
Contributed by: Neha Desai

February 9, 2000


A lovely Lata solo. It is a recital, the kind one hears at mushaairas. No music, only slow, soft and powerful at the same time singing. Don't have complete/dead-sure P-Stats, but the movie is MEHNDI, so the music must be by Ravi and the lyricist could be Kumar Barabankvi with a Sahirisque touch. One can't help saying 'waah' at each stanza...

I couldnt make out some words and they are marked within * and *. If someone can correct me that would help. Thanks.



% ITRANS Song #
%
\startsong
\stitle{ye afasaanaa nahii.n hai}%
\film{mehndi}%
\starring{ajit, jayashree}%
\singer{lata mangeshkar}%
\music{ravi}%
\lyrics{kaamil rashid}%
%
% Contributor: Neha Desai
% Transliterator: Hrishi Dixit
% Date: Feb 09, 2000
% Credits:
% Editor:
% Comments: LATAnjali series
%
\printtitle
#indian
%

bharii mahafil hai aur ab ra.ng par mahafil bhii aa_ii hai
uThii hai huuk bhii dil se to dil hii me.n dabaa_ii hai
uThii hai huuk bhii dil se to dil hii me.n dabaa_ii hai
magar jab dil dukhaayaa hai to lab tak baat aa_ii hai

ye afasaanaa nahii.n ai sunanevaalo.n dil kii baate.n hai.n
siyaahii Gam kii hai vaise ba.Dii ra.ngiin raate.n hai.n
ye afasaanaa nahii.n hai \threedots

jo samajho to janaaze hai.n jo dekho to baraate.n hai.n
ye afasaanaa nahii.n hai \threedots
ye afasaanaa nahii.n ai sunanevaalo.n dil kii baate.n hai.n
siyaahii Gam kii hai vaise ba.Dii ra.ngiin raate.n hai.n
ye afasaanaa nahii.n hai \threedots

hai gustaaKhii magar kahanaa hai kuchh duniyaa se mardo.n se
shariifo.n ma.nchalo.n mullaaho.n se aavaaraagardo.n se
hai bepardaa magar taane diye jaate hai.n pardo.n se
ye afasaanaa nahii.n hai \threedots

jo sach puuchho tumhii mardo.n ne ye koThe sajaa_e hai.n
hasii.n baazaar tumane apane haatho.n se lagaa_e hai.n
tumhaarii hii badaulat ham bhii is mahafil me.n aa_e hai.n
ye afasaanaa nahii.n hai \threedots

ye kyaa duniyaa hai hamase har gha.Dii nafarat jataatii hai
buraa kahatii hai hamako phir buraa_ii karane jaatii hai
hame.n duniyaa kii is beGairatii par sharm aatii hai
ye afasaanaa nahii.n ai sunanevaalo.n dil kii baate.n hai.n
siyaahii Gam kii hai vaise ba.Dii ra.ngiin raate.n hai.n
ye afasaanaa nahii.n hai \threedots

tum apani biiviiyo.n ko chho.Dakar koTho.n pe jaate ho
tum apane ghar kii daulat ko vahaa.N jaakar luTaate ho
khushaamadii naazabardaarii par tum juutii bhii khaate ho
khushaamadii naazabardaarii par tum juutii bhii khaate ho
ye afasaanaa nahii.n hai \threedots

jo samajho thaap tabale kii to ye muu.Nh par tamaache hai.n
ye saara.ngii ke taaro.n par dilo.n ke taar bajaate hai.n
yahaa.N insaaniyat khud naachatii hai ham nachaate hai.n
ye afasaanaa nahii.n hai \threedots

ye jo koThe ki malikaa hai ye jo kuucho.n kii raanii hai
jo paDh sakate ho paDh lo ye tumhaarii hii kahaanii hai
jo paDh sakate ho paDh lo ye tumhaarii hii kahaanii hai
samaaj\-o\-kaum kii be_aabruu_ii kii nishaanii hai
samaaj\-o\-kaum kii be_aabruu_ii kii nishaanii hai
ye afasaanaa nahii.n hai \threedots

are o zi.ndagii ke Thekedaaro.n kuchh to sharmaa_o
uThaakar husn ka baazaar apane ghar me.n le jaa_o
are o zi.ndagii ke Thekedaaro.n kuchh to sharmaa_o
uThaakar husn ka baazaar apane ghar me.n le jaa_o
sahaaraa do
sahaaraa do aur inako maa bahen beTii kahalavaa_o
sahaaraa do
sahaaraa do aur inako maa bahen beTii kahalavaa_o

ye afasaanaa nahii.n hai \threedots
ye afasaanaa nahii.n ai sunanevaalo.n dil kii baate.n hai.n
siyaahii Gam kii hai vaise ba.Dii ra.ngiin raate.n hai.n
ye afasaanaa nahii.n hai \threedots

%
#endindian
\endsong