LATAnjali - 76

raat khushii kii aayii
(Baabla, 1953)

Posted by:  Hrishi Dixit
Contributed by: Hrishi Dixit

March 9, 2000


The other Lata solo from Baabla. Not one of the best I've heard, but still the vein of infectious mirth running through it is a delight to listen to. This song sounds VERY similar to some other popular song, and I can't for the life of me remember which one it is.


% ITRANS Song #
%
\startsong
\stitle(raat khushii kii aayii}%
\film{baabla (1953)}%
\starring{m niren, sova sen}%
\singer{lata mangeshkar}%
\music{s d burman}%
\lyrics{sahir ludhianvi}%
%
% Contributor: Hrishi Dixit [hrishi@excite.com]
% Transliterator:  Hrishi Dixit [hrishi@excite.com]
% Date: Mar 9 2000
% Credits:
% Editor:
% Comments: LATAnjali series
%
\printtitle
#indian
%

raat khushii kii aayii
aaj duniyaa nayii hai nazaare naye
raat khushii kii aayii
aaj duniyaa nayii hai nazaare naye
raat khushii kii aayii

siine me.n uma.nge.n machalii
hoTho.n pe taraane aaye
siine me.n uma.nge.n machalii
hoTho.n pe taraane aaye
ham jinake liye jiite the
aakhir vo zamaane aaye
unakii aashaa_o.n ne ruup dhaare naye
raat khushii kii aayii
aaj duniyaa nayii hai nazaare naye
raat khushii kii aayii

kirano.n ke sehare bunatii
raat aayii nasiibo.nvaalii, ho
raat aayii nasiibo.nvaalii
kirano.n ke sehare bunatii
raat aayii nasiibo.nvaalii, ho
raat aayii nasiibo.nvaalii
dharatii pe ujaalaa phailaa
ambar pe sajii divaalii
mere naino.n me.n chamake sitaare naye
raat khushii kii aayii
aaj duniyaa nayii hai nazaare naye
raat khushii kii aayii

chalate hue ek raahii ne
ma.nzil kaa ishaaraa paayaa
chalate hue ek raahii ne
ma.nzil kaa ishaaraa paayaa
majadhaar me.n ek naiyyaa ne
maa.Njhii kaa sahaaraa paayaa
inake tuufaa.N se ubhare kinaare naye
raat khushii kii aayii
aaj duniyaa nayii hai nazaare naye
raat khushii kii aayii

%
#endindian
\endsong