Would
like to post a couple of Lata solos from Baabla, yet another relatively
lesser known SDB soundtrack. Some totally unknown names in the cast, too.
This song is a tandem
with Manna Dey... beautifully composed pep-talk from Sahir, and of course,
a great rendition. The gentle, hummable 'raat ke rahii~~' signoff to each
antaraa is a classic SDB touch.
Not sure of some
of the lyrics (marked '??').. please correct.
% ITRANS Song #
%
\startsong
\stitle(raat ke raahii thak mat jaanaa}%
\film{baabla (1953)}%
\starring{m niren, sova sen, paresh bannerji}%
\singer{lata mangeshkar}%
\music{s d burman}%
\lyrics{sahir ludhianvi}%
%
% Contributor: Hrishi Dixit [hrishi@excite.com]
% Transliterator: Hrishi Dixit [hrishi@excite.com]
% Date: Mar 8, 2000
% Credits:
% Editor:
% Comments: LATAnjali series
%
\printtitle
#indian
%
raat ke raahii
raat ke raahii thak mat jaanaa
subah kii ma.nzil duur nahii.n, duur nahii.n
thak mat jaanaa, ho raahii thak mat jaanaa
raat ke raahii~~
dharatii ke phaile aa.ngan me.n
pal do pal hai raat kaa Deraa
dharatii ke phaile aa.ngan me.n
pal do pal hai raat kaa Deraa
zulm kaa siinaa chiir ke dekho
jhaa.Nk rahaa hai nayaa saveraa
Dhalataa din majabuur sahii
chaDhataa suuraj majabuur nahii.n, majabuur nahii.n
thak mat jaanaa, ho raahii thak mat jaanaa
raat ke raahii~~
sadiyo.n tak chup rahanevaale
ab apanaa haq leke rahe.nge
sadiyo.n tak chup rahanevaale
ab apanaa haq leke rahe.nge
jo karanaa hai khul ke kare.nge
jo kahanaa hai saaf kahe.nge
jiite jii ghuT ghuT kar maranaa
is jug kaa dastuur nahii.n, dastuur nahii.n
thak mat jaanaa, ho raahii thak mat jaanaa
raat ke raahii~~
TuuTengii bojhal za.njiire.n
jaage.ngii soyii taqadiire.n
TuuTengii bojhal za.njiire.n
jaage.ngii soyii taqadiire.n
luuT pe kab tak paharaa de.ngii
za.ng lagii khuunii shamashiire.n
rah nahii.n sakataa is duniyaa me.n
jo sab ko ma.nzuur nahii.n, ma.nzuur nahii.n
thak mat jaanaa, ho raahii thak mat jaanaa
raat ke raahii~~
%
#endindian
\endsong
|