.
%
\startsong
\stitle{dil kii duniyaa basaake saa.Nvariyaa}%
\film{Amardeep}%
\year{1958}%
\starring{Dev Anand,Vyjayantimaala,Padmini}%
\singer{Lata}%
\music{C Ramchandra}%
\lyrics{Rajinder Krishan}%
%
% Contributor: Srinivas Ganti
% Transliterator: Hrishi Dixit
% Date: January 24 2001
% Comments: LATAnjali
%
\printtitle
#indian
dil kii duniyaa basaake saa.Nvariyaa \-2
tum na jaane kahaa.N kho gaye, kho gaye
saath rahanaa thaa saarii umariyaa
duur nazaro.n se kyuu.N ho gaye, ho gaye
jaane vaale
(jaane vaale, pataa teraa maine
aatii jaati bahaaro.n se puuchhaa) \-2
(chup rahe jab zamii.n ke nazaare
aasamaan ke sitaaro.n se puuchhaa) \-2
(sunake baadal bhii merii kahaanii) \-2
bebasii par merii ro gaye, ro gaye
dil ki duniyaa \threedots
ha.Ns rahaa hai
(ha.Ns rahaa hai ye zaalim zamaanaa
apanii khushiy.on kii mahafil sajaaye) \-2
(main akelii magar ro rahii huu.N
terii yaado.n ko dil se lagaaye) \-2
bahate bahate ye aa.Nsuu bhii haare \-2
aake palako.n pe hai.n so gaye, so gaye
dil kii duniyaa \threedots
%
#endindian
\endsong
%
|