[
REMEMBERING KAVI PRADEEP ]
%
\startsong
\stitle{duniyaa banaanevaale raamojii}%
\film{Baap Beti}%
\year{1954}%
\starring{Nalini Jayawant,Ranjan}%
\singer{Lata}%
\music{Roshan}%
\lyrics{Kavi Pradeep}%
%
% Contributor: Srinivas Ganti
% Transliterator: Hrishi Dixit
% Date: December 10, 2000
% Credits:
% Editor:
% Comments: LATAnjali series [need corrections,additions]
%
duniyaa banaanevaale raamojii
Gazab saa hai teraa i.ntazaam
duniyaa banaanevaale raamojii
Gazab saa hai teraa i.ntazaam
roshanii karane ko roz suuraj aataa
raat ko chup chaap chaa.Nd paharaa lagaataa
daso dishaao.n me.n pavan jamke dhulaata(?)
laakh pari.ndo.n kaa bhii.D jhuum ke gaataa
vaah re vaah re daataa
are vaah re vaah re daataa kyaa khuub teraa kaam
duniyaa banaanevaale raamojii
Gazab saa hai teraa i.ntazaam
duniyaa banaanevaale raamojii
ajab teraa jaaduu hai ajab teraa khel
jalate hai.n taaro.n ke diye roz binaa tel
aag ka hotaa nahii.n paanii se kabhii mel
phir bhii baadalo.n me.n lagii bijaliyo.n kii bel
Gair? sama.ndar ke bhii a.ndar hai dhuum dhaam
duniyaa banaanevaale raamojii
Gazab saa hai teraa i.ntazaam
duniyaa banaanevaale raamojii
kuchh zaruur hai terii kudarat me.n baraamaat
kuchh zaruur hai
kuchh zaruur hai terii kudarat me.n baraamaat
tere ishaare pe yahaa.N ban rahii har baat
ye zamii.n ye gagan ye prakaash ye pavan
ye samudra ye pahaa.D ye bhii ?
tuune har ik pe ? dii hai binaa daam
duniyaa banaanevaale raamojii
Gazab saa hai teraa i.ntazaam
duniyaa banaanevaale raamojii
%
#endindian
\endsong
|