Here
is a guest post from Vijay Kumar.
%
\startsong
\stitle{duniyaa.N ne terii duniyaa.N vaale}%
\film{Deedar}%
\year{1951}%
\starring{Nargis, Dilip Kumar, Ashok Kumar}%
\singer{Lata}%
\music{Naushad}%
\lyrics{Shakeel Badayuni}%
%
% Contributor: Vijay Kumar
% Transliterator: Vijay Kumar
% Credits:
% Comments:
%
\printtitle
#indian
%
duniyaa.N ne terii duniyaa.N vaale
sukh chain hamaaraa chhiin liyaa
pahale to basaa_ii dil me.n khushii
phir dil kaa sahaaraa chhiin liyaa
duniyaa.N ne terii duniyaa.N vaale \threedots
kyaa kaam hame.n ab jiine se
marane kii duaa_e.n kyo.n na kare.n
tuufaan me.n kashtii aan pha.Nsii
maujo.n ne kinaaraa chiin liyaa
duniyaa.N ne terii duniyaa.N vaale \threedots
ai Gam kii ghaTaa jaa aur kahii.n
ab paas hamaare kuchh bhii nahii.n
chamakaayaa tha jisane qisamat ko
tuune vo sitaaraa chhiin liyaa
duniyaa.N ne terii duniyaa.N vaale \threedots
%
#endindian
\endsong
%
|